har lamha haalat badalte dekhe hain
har lamha hālāt badalte dekhe haiñ
ham ne chaḌhte sūraj Dhalte dekhe haiñ
insānoñ ko patthar bante dekhā hai
patthar jaise jism pighalte dekhe haiñ
pyaas bhaTaktī dekhī hai sahrāoñ meñ
aur paanī par saa.e chalte dekhe haiñ
ab tak haiñ mahrūm vahī ta.abīroñ se
jin āñkhoñ meñ ḳhvāb machalte dekhe haiñ
kyā bahlegā ab vo jhūTe va.adoñ se
jin ke sachche va.ade Talte dekhe haiñ
majbūrī kī bosīda dīvāroñ se
lāchārī ke saañp nikalte dekhe haiñ
logoñ ne bas dil dekhā hai 'sālim' kā
kis ne dil meñ zaḳhm pighalte dekhe haiñ
har lamha haalat badalte dekhe hain
hum ne chaDhte suraj Dhalte dekhe hain
insanon ko patthar bante dekha hai
patthar jaise jism pighalte dekhe hain
pyas bhaTakti dekhi hai sahraon mein
aur pani par sae chalte dekhe hain
ab tak hain mahrum wahi tabiron se
jin aankhon mein KHwab machalte dekhe hain
kya bahlega ab wo jhuTe wadon se
jin ke sachche wade Talte dekhe hain
majburi ki bosida diwaron se
lachaari ke sanp nikalte dekhe hain
logon ne bas dil dekha hai 'salim' ka
kis ne dil mein zaKHm pighalte dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.