har lamha intizar ke din yaad kijiye
Interesting Fact
(خمار کی غزل سے متاثر ہوکر)
har lamha intizār ke din yaad kījiye
gar ho sake to pyaar ke din yaad kījiye
koshish hai kyoñ karam kī tabī'at ke bar-ḳhilāf
vo jabr-o-iḳhtiyār ke din yaad kījiye
duniyā se be-niyāz ḳhizāoñ ke baa'd bhī
guzre haiñ jo bahār ke din yaad kījiye
tum ne kiye the 'azm-e-mohabbat ke baa'd jo
us qaul aur qarār ke din yaad kījiye
jab aap ke mizāj pe milnā bhī baar thā
be-vaj.h iftiḳhār ke din yaad kījiye
be-iḳhtiyāriyoñ pe 'vasiyya' ko naaz thā
aur apne iḳhtiyār ke din yaad kījiye
har lamha intizar ke din yaad kijiye
gar ho sake to pyar ke din yaad kijiye
koshish hai kyon karam ki tabi'at ke bar-KHilaf
wo jabr-o-iKHtiyar ke din yaad kijiye
duniya se be-niyaz KHizaon ke ba'd bhi
guzre hain jo bahaar ke din yaad kijiye
tum ne kiye the 'azm-e-mohabbat ke ba'd jo
us qaul aur qarar ke din yaad kijiye
jab aap ke mizaj pe milna bhi bar tha
be-wajh iftiKHar ke din yaad kijiye
be-iKHtiyariyon pe 'wasiyya' ko naz tha
aur apne iKHtiyar ke din yaad kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.