har lamha tha sau sal ka Talta bhi to kaise
har lamha thā sau saal kā Taltā bhī to kaise
le aa.ī shab-e-ġham koī martā bhī to kaise
ik aag thī jo phūñk rahī thī do-jahāñ ko
vo dil se mire ho ke guzartā bhī to kaise
ham pyaas ke māroñ ne 'abas aas lagā.ī
barsā huā bādal thā barastā bhī to kaise
gulchīñ kī nazar taak meñ rahtī thī barābar
ġhuncha koī khiltā bhī mahaktā bhī to kaise
tinke kī rukāvaT bhī na thī ġhaar kī tah meñ
phir phailā huā paañv sañbhaltā bhī to kaise
saaya na koī naqsh-e-qadam kūcha na bāzār
sahrā ke safar meñ thā bhaTaktā bhī to kaise
siine meñ koī sho'la na nazroñ meñ kahīñ barq
'shohrat' bhalā dil merā bahaltā bhī to kaise
har lamha tha sau sal ka Talta bhi to kaise
le aai shab-e-gham koi marta bhi to kaise
ek aag thi jo phunk rahi thi do-jahan ko
wo dil se mere ho ke guzarta bhi to kaise
hum pyas ke maron ne 'abas aas lagai
barsa hua baadal tha barasta bhi to kaise
gulchin ki nazar tak mein rahti thi barabar
ghuncha koi khilta bhi mahakta bhi to kaise
tinke ki rukawaT bhi na thi ghaar ki tah mein
phir phaila hua panw sanbhalta bhi to kaise
saya na koi naqsh-e-qadam kucha na bazar
sahra ke safar mein tha bhaTakta bhi to kaise
sine mein koi sho'la na nazron mein kahin barq
'shohrat' bhala dil mera bahalta bhi to kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.