har makan aabaad tha yan har makin dil-shad tha
har makan aabaad tha yan har makin dil-shad tha
Hashim Raza Jalalpuri
MORE BYHashim Raza Jalalpuri
har makāñ ābād thā yaañ har makīñ dil-shād thā
is nagar kā naam yaaro pahle faizabad thā
kyā balā thā vo musavvir jis kī har tasvīr meñ
bulbuleñ āzād thiiñ aur qaid meñ sayyād thā
hazrat-e-ādam ne bhī jaanā gunāhoñ ke tufail
ye jahāñ barbād hai ki vo jahāñ barbād thā
marne vaale ko miyāñ pahlī mohabbat kī tarah
nursery schōl kā pahlā sabaq bhī yaad thā
ishq-zādoñ meñ protocol kā jhagḌā nahīñ
qais jis jañgal meñ thā āḳhir vahīñ farhād thā
jis ko diction kah rahe haiñ muftiyān-e-reḳhta
ye nayā lahja ġharīb-e-shahr kī ījād thā
mahfil-e-sher-o-suḳhan meñ kal kī shab 'hāshim' razā
kyā kahūñ mere alāva har koī ustād thā
har makan aabaad tha yan har makin dil-shad tha
is nagar ka nam yaro pahle faizabad tha
kya bala tha wo musawwir jis ki har taswir mein
bulbulen aazad thin aur qaid mein sayyaad tha
hazrat-e-adam ne bhi jaana gunahon ke tufail
ye jahan barbaad hai ki wo jahan barbaad tha
marne wale ko miyan pahli mohabbat ki tarah
nursery school ka pahla sabaq bhi yaad tha
ishq-zadon mein protocol ka jhagDa nahin
qais jis jangal mein tha aaKHir wahin farhad tha
jis ko diction kah rahe hain muftiyan-e-reKHta
ye naya lahja gharib-e-shahr ki ijad tha
mahfil-e-sher-o-suKHan mein kal ki shab 'hashim' raza
kya kahun mere alawa har koi ustad tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.