har makan la-makan ki gunjaish
har makāñ lā-makāñ kī gunjā.ish
dil meñ hai do-jahāñ kī gunjā.ish
par-e-parvāz meñ utar aa.ī
vus.at-e-āsmāñ kī gunjā.ish
sajda-e-shauq meñ samā jaa.e
aap ke āstāñ kī gunjā.ish
naam us ko vafā kā mat diije
jis meñ ho imtihāñ kī gunjā.ish
husn-e-a.amāl kā ta.ayyun kar
dekh umr-e-ravāñ kī gunjā.ish
phail jaa.e to āsmāñ chhū le
us ke zikr-o-bayāñ kī gunjā.ish
ye girānī ke pech-o-ḳham 'iqbāl'
kyā bachat aur kahāñ kī gunjā.ish
har makan la-makan ki gunjaish
dil mein hai do-jahan ki gunjaish
par-e-parwaz mein utar aai
wusat-e-asman ki gunjaish
sajda-e-shauq mein sama jae
aap ke aastan ki gunjaish
nam us ko wafa ka mat dije
jis mein ho imtihan ki gunjaish
husn-e-amal ka tayyun kar
dekh umr-e-rawan ki gunjaish
phail jae to aasman chhu le
us ke zikr-o-bayan ki gunjaish
ye girani ke pech-o-KHam 'iqbaal'
kya bachat aur kahan ki gunjaish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.