har manzar-e-hayat baDi be-dili ka tha
har manzar-e-hayāt baḌī be-dilī kā thā
umr-e-ravāñ kā saarā safar vāpsī kā thā
apnī zamīñ se apnī jaḌeñ khodnā paḌīñ
aisā bhī ek daur mirī be-hisī kā thā
ahl-e-falak to sū-e-zamīñ dekhte rahe
rū-e-zamīñ pe pahlā qadam aadmī kā thā
jo saañs jā chukā vo amānat thā maut kī
jo aa gayā palaT ke vahī zindagī kā thā
is ran meñ hār-jīt to sab kī nazar meñ hai
is aa.ine meñ aks magar daraupadī kā thā
kyā justujū thī 'kaif' ki maiñ ḳhud bhī kho gayā
shāyad vo ik safar mirī gum-gashtagī kā thā
har manzar-e-hayat baDi be-dili ka tha
umr-e-rawan ka sara safar wapsi ka tha
apni zamin se apni jaDen khodna paDin
aisa bhi ek daur meri be-hisi ka tha
ahl-e-falak to su-e-zamin dekhte rahe
ru-e-zamin pe pahla qadam aadmi ka tha
jo sans ja chuka wo amanat tha maut ki
jo aa gaya palaT ke wahi zindagi ka tha
is ran mein haar-jit to sab ki nazar mein hai
is aaine mein aks magar daraupadi ka tha
kya justuju thi 'kaif' ki main KHud bhi kho gaya
shayad wo ek safar meri gum-gashtagi ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.