har mauqe ki har rishte ki Dher nishani uske pas
har mauqe kī har rishte kī Dher nishānī us ke paas
album ke har ik photo kī ek kahānī us ke paas
shahr vo sāhūkār hai jis ko kos rahā hai har koī
ye sach bhī sab ko ma.alūm hai dāna-pānī us ke paas
ammāñ kī bātoñ meñ āñkheñ sukh-dukh sapne sab to haiñ
rām-kahānī us ke paas kabira-bānī us ke paas
ka.ī ḳhazāne qisse vaale ik bachche ke paas mile
daadā daadī us ke paas naanā naanī us ke paas
soch rahā huuñ gaañv meñ jā kar kuchh din ab ārām karūñ
vahīñ kahīñ par rakh aayā huuñ niiñd purānī us ke paas
har mauqe ki har rishte ki Dher nishani us ke pas
album ke har ek photo ki ek kahani us ke pas
shahr wo sahukar hai jis ko kos raha hai har koi
ye sach bhi sab ko malum hai dana-pani us ke pas
amman ki baaton mein aankhen sukh-dukh sapne sab to hain
ram-kahani us ke pas kabira-bani us ke pas
kai KHazane qisse wale ek bachche ke pas mile
dada dadi us ke pas nana nani us ke pas
soch raha hun ganw mein ja kar kuchh din ab aaram karun
wahin kahin par rakh aaya hun nind purani us ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.