har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallashi hai
har maz.hab be-rūh jasad hai jazbe kī qallāshī hai
raakh ke tuude pūjte haiñ ye ka.aba hai vo kāshī hai
arsh kī qīl-o-qāl sunī afsāna-e-vajd-o-hāl sunā
zehn kī vo ayyāshī hai aur ruuh kī ye ayyāshī hai
dil murda maflūj haiñ rūheñ kaun jale aur kaun jalā.e
is ThanDe māhaul meñ bejā shauq kī aḳhgar-pāshī hai
haal dil-e-āshufta kā ai dair-o-haram kyā tum se kaheñ
vahshat har darbār se hai sahrā kī hāzir-bāshī hai
sāne-e-qudrat tere qalam kā kyā kahnā lekin ye batā
naqsh miTānā naqsh banānā ye kaisī naqqāshī hai
amn-o-sukūñ kā ye vaqfa marne kā ifāqa hai 'rizvī'
chehre par tahzīb-e-umam ke vaqtī ye bashshāshī hai
har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallashi hai
rakh ke tude pujte hain ye kaba hai wo kashi hai
arsh ki qil-o-qal suni afsana-e-wajd-o-haal suna
zehn ki wo ayyashi hai aur ruh ki ye ayyashi hai
dil murda mafluj hain ruhen kaun jale aur kaun jalae
is ThanDe mahaul mein beja shauq ki aKHgar-pashi hai
haal dil-e-ashufta ka ai dair-o-haram kya tum se kahen
wahshat har darbar se hai sahra ki hazir-bashi hai
sane-e-qudrat tere qalam ka kya kahna lekin ye bata
naqsh miTana naqsh banana ye kaisi naqqashi hai
amn-o-sukun ka ye waqfa marne ka ifaqa hai 'rizwi'
chehre par tahzib-e-umam ke waqti ye bashshashi hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 360)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.