har moD pe un ka hamara samna hone laga
har moḌ pe un kā hamārā sāmnā hone lagā
ab roz hī ye ḳhūbsūrat hādsa hone lagā
har ik adā andāz meñ aisī kashish hai aap meñ
jo bhī milā hai aap se vo aap kā hone lagā
mushkil bahut thā chup rahūñ sochā bahut kuchh na kahūñ
par baat lab pe aa ga.ī to phir gila hone lagā
ik shaḳhs thā ham ne jise chāhā bahut puujā bahut
pahle to vo patthar huā phir devtā hone lagā
thiiñ bas zarā sī duur tak hī is safar meñ mushkileñ
ik baar jab ham chal paḌe to rāsta hone lagā
dekhā alag sochā alag samjhā alag rasta alag
nazdīk to ham the bahut par fāsla hone lagā
vo duudh jaisā gorā-pan thā bas usī kī chhāñv meñ
vo jab gayā to dhuup meñ maiñ sāñvlā hone lagā
har moD pe un ka hamara samna hone laga
ab roz hi ye KHubsurat hadsa hone laga
har ek ada andaz mein aisi kashish hai aap mein
jo bhi mila hai aap se wo aap ka hone laga
mushkil bahut tha chup rahun socha bahut kuchh na kahun
par baat lab pe aa gai to phir gila hone laga
ek shaKHs tha hum ne jise chaha bahut puja bahut
pahle to wo patthar hua phir dewta hone laga
thin bas zara si dur tak hi is safar mein mushkilen
ek bar jab hum chal paDe to rasta hone laga
dekha alag socha alag samjha alag rasta alag
nazdik to hum the bahut par fasla hone laga
wo dudh jaisa gora-pan tha bas usi ki chhanw mein
wo jab gaya to dhup mein main sanwla hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.