har mohabbat mein kyun ye bab aae
har mohabbat meñ kyuuñ ye baab aa.e
ishq-e-barbād kā nisāb aa.e
soch ye pahne ḳhaar hai ham ne
shāḳh-e-hastī pe phir gulāb aa.e
kyā karegā vo mai-kade jā ke
jis kī qismat meñ mai na aab aa.e
palkoñ ke Daale niiñd ne parde
kis darīche se ho ke ḳhvāb aa.e
justujū ko tū sub.h roz ugā
is meñ shāyad kabhī to taab aa.e
chhoḌ ham ne diyā vafā karnā
dekheñ is samt kyā hisāb aa.e
zindagī puurī dasht meñ guzrī
ab to ban maut hī sarāb aa.e
har mohabbat mein kyun ye bab aae
ishq-e-barbaad ka nisab aae
soch ye pahne KHar hai hum ne
shaKH-e-hasti pe phir gulab aae
kya karega wo mai-kade ja ke
jis ki qismat mein mai na aab aae
palkon ke Dale nind ne parde
kis dariche se ho ke KHwab aae
justuju ko tu subh roz uga
is mein shayad kabhi to tab aae
chhoD hum ne diya wafa karna
dekhen is samt kya hisab aae
zindagi puri dasht mein guzri
ab to ban maut hi sarab aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.