har musibat bhi shadmani thi
har musībat bhī shādmānī thī
ik balā thī ki naujavānī thī
ulfat ik kāvish-e-nihānī thī
kisī sūrat se maut aanī thī
justujū ne milā diyā tujh se
rāz-jūī bhī rāz-dānī thī
vo the aur ḳhvāb-e-aish kī lazzat
ham the aur dard kī kahānī thī
jis se taskīn ho ga.ī dil kī
nāma-bar kī ġhalat-bayānī thī
rūh-parvar thā dard-e-dil apnā
mehmānī bhī mezbānī thī
ham bhī rahte the un kī nazroñ meñ
kabhī ham par bhī mehrbānī thī
kis ne khoyā hameñ zamāne se
kyā kaheñ kis kī mehrbānī thī
us ke hāthoñ 'munīr' marnā thā
phir to ye maut zindagānī thī
har musibat bhi shadmani thi
ek bala thi ki naujawani thi
ulfat ek kawish-e-nihani thi
kisi surat se maut aani thi
justuju ne mila diya tujh se
raaz-jui bhi raaz-dani thi
wo the aur KHwab-e-aish ki lazzat
hum the aur dard ki kahani thi
jis se taskin ho gai dil ki
nama-bar ki ghalat-bayani thi
ruh-parwar tha dard-e-dil apna
mehmani bhi mezbani thi
hum bhi rahte the un ki nazron mein
kabhi hum par bhi mehrbani thi
kis ne khoya hamein zamane se
kya kahen kis ki mehrbani thi
us ke hathon 'munir' marna tha
phir to ye maut zindagani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.