har nae aadmi se Darta hai
har na.e aadmī se Dartā hai
dil abhī dil-lagī se Dartā hai
dil kī bechārgī kā 'ālam dekh
terā ho ke tujhī se Dartā hai
terī har an-sunī se Dartā hai
apnī har an-kahī se Dartā hai
'ishq se āshnā to hai par dil
'ishq kī āgahī se Dartā hai
har nae aadmi se Darta hai
dil abhi dil-lagi se Darta hai
dil ki bechaargi ka 'alam dekh
tera ho ke tujhi se Darta hai
teri har an-suni se Darta hai
apni har an-kahi se Darta hai
'ishq se aashna to hai par dil
'ishq ki aagahi se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.