har nae zaKHm ko lafzon se nikhaara jae
har na.e zaḳhm ko lafzoñ se nikhārā jaa.e
aao ḳhvāboñ ke jazīroñ ko sañvārā jaa.e
dosto aaj ke andāze ġhalat hote haiñ
kashtī mil jaa.e to hāthoñ se kinārā jaa.e
zindagī ḳhvāb-e-musalsal kī tarah hai yaaro
aañkh khul jaa.e to sadiyoñ kā nazārā jaa.e
ham se bichhḌeñge ye saa.e to kahāñ jā.eñge
kyā inheñ niim ke saa.e se guzārā jaa.e
koī ehsās to jaage koī dīpak to jale
āsmānoñ ko zamīnoñ meñ utārā jaa.e
har nae zaKHm ko lafzon se nikhaara jae
aao KHwabon ke jaziron ko sanwara jae
dosto aaj ke andaze ghalat hote hain
kashti mil jae to hathon se kinara jae
zindagi KHwab-e-musalsal ki tarah hai yaro
aankh khul jae to sadiyon ka nazara jae
hum se bichhDenge ye sae to kahan jaenge
kya inhen nim ke sae se guzara jae
koi ehsas to jage koi dipak to jale
aasmanon ko zaminon mein utara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.