har-nafas apna aziyyat-kosh hai
har-nafas apnā aziyyat-kosh hai
zindagī kyā hai vabāl-e-dosh hai
kā.enāt-e-dil hai aur soz-e-firāq
zindagī ik mahshar-e-ḳhāmosh hai
bahr-e-ulfat kā kahīñ sāhil nahīñ
āshiqī begāna-e-āġhosh hai
kis ne chheḌā naġhma-e-husn-e-vafā
jis ko dekho vo hama-tan-gosh hai
tum bhī aakar ye tamāshā dekh lo
maut se 'nāshād' ham-āġhosh hai
har-nafas apna aziyyat-kosh hai
zindagi kya hai wabaal-e-dosh hai
kaenat-e-dil hai aur soz-e-firaq
zindagi ek mahshar-e-KHamosh hai
bahr-e-ulfat ka kahin sahil nahin
aashiqi begana-e-aghosh hai
kis ne chheDa naghma-e-husn-e-wafa
jis ko dekho wo hama-tan-gosh hai
tum bhi aakar ye tamasha dekh lo
maut se 'nashad' ham-aghosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.