har nafas dida-e-dil mein teri yaadon ka hujum
har nafas dīda-e-dil meñ tirī yādoñ kā hujūm
har ghaḌī mujh pe qayāmat kā guzar nā-mālūm
aañkh se dil meñ utartī huī yādoñ kī barāt
dasht-e-tanhā.ī meñ TuuTe hue tāroñ kā hujūm
is qadar paas ki jaise mire dil kī āvāz
is qadar duur ki jaise ho sadā-e-mauhūm
ai dil-e-ḳhāk-basar terī tabāhī taslīm
haañ dil-e-sāda-nazar terī ḳhatā.eñ mālūm
har ghaḌī yaad meñ guzrī shab-e-mātam kī tarah
phir bhī ai ishq-e-siyah-posh unheñ kyā mālūm
kal kā din apnī bahāroñ ko liye ḳhatm huā
kal kī har baat huī naqsh-e-vafā-e-mauhūm
har nafas dida-e-dil mein teri yaadon ka hujum
har ghaDi mujh pe qayamat ka guzar na-malum
aankh se dil mein utarti hui yaadon ki baraat
dasht-e-tanhai mein TuTe hue taron ka hujum
is qadar pas ki jaise mere dil ki aawaz
is qadar dur ki jaise ho sada-e-mauhum
ai dil-e-KHak-basar teri tabahi taslim
han dil-e-sada-nazar teri KHataen malum
har ghaDi yaad mein guzri shab-e-matam ki tarah
phir bhi ai ishq-e-siyah-posh unhen kya malum
kal ka din apni bahaaron ko liye KHatm hua
kal ki har baat hui naqsh-e-wafa-e-mauhum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.