har-nafas haalat-e-safar mein hun
har-nafas hālat-e-safar meñ huuñ
aur ba-zāhir maiñ apne ghar meñ huuñ
aks merā bhī aa.ine meñ hai
maiñ bhī ik chashm-e-mo'atabar meñ huuñ
giilī miTTī kī tarah maiñ shāyad
aaj bhī dast-e-kūza-gar meñ huuñ
aisā lagtā hai jaise muddat se
zindagī maiñ tirī nazar meñ huuñ
dasht meñ bo rahā huuñ shāḳh-e-gul
aaj tak ḳhvāb ke asar meñ huuñ
hech lagtī hai 'rāz' har vus.at
jaane kis zo.am-e-bāl-o-par meñ huuñ
har-nafas haalat-e-safar mein hun
aur ba-zahir main apne ghar mein hun
aks mera bhi aaine mein hai
main bhi ek chashm-e-mo'atabar mein hun
gili miTTi ki tarah main shayad
aaj bhi dast-e-kuza-gar mein hun
aisa lagta hai jaise muddat se
zindagi main teri nazar mein hun
dasht mein bo raha hun shaKH-e-gul
aaj tak KHwab ke asar mein hun
hech lagti hai 'raaz' har wusat
jaane kis zoam-e-baal-o-par mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.