har nafas ek nai zanjir mujhe milti hai
har nafas ik na.ī zanjīr mujhe miltī hai
jiinā paḌtā hai mujhe hiir mujhe miltī hai
bhāgtā rahtā huuñ parchhā.iyoñ kī yūrish se
har jagah apnī hī tasvīr mujhe miltī hai
be-navā.ī meñ mire dil ko sukūñ hai kitnā
chain se jiine kī jāgīr mujhe miltī hai
maiñ ne dekhā thā kabhī sāyoñ ke Takrāv kā ḳhvāb
aaj us ḳhvāb kī ta.abīr mujhe miltī hai
koī lauTātā hai bhejā huā tohfa mujh ko
pyaar ke badle meñ tahqīr mujhe miltī hai
har nafas ek nai zanjir mujhe milti hai
jina paDta hai mujhe hir mujhe milti hai
bhagta rahta hun parchhaiyon ki yurish se
har jagah apni hi taswir mujhe milti hai
be-nawai mein mere dil ko sukun hai kitna
chain se jine ki jagir mujhe milti hai
main ne dekha tha kabhi sayon ke Takraw ka KHwab
aaj us KHwab ki tabir mujhe milti hai
koi lauTata hai bheja hua tohfa mujh ko
pyar ke badle mein tahqir mujhe milti hai
- Book : Shor ke darmayan (Pg. 75)
- Author : Jamal Owaisi
- Publication : Educational Publishing House (20062006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.