har-nafas inqalab ho jaise
har-nafas inqalāb ho jaise
āgahī iztirāb ho jaise
yād-e-māzī kī vo latīf kasak
ek rangīn ḳhvāb ho jaise
yuuñ zamāne meñ jī rahe haiñ log
koī naqsh-e-bar-āb ho jaise
faq rahā hai nafas nafas merā
zindagī ik azaab ho jaise
bahr-e-nazzāra jā rahe haiñ 'kalīm'
aaj jalvoñ kī taab ho jaise
har-nafas inqalab ho jaise
aagahi iztirab ho jaise
yaad-e-mazi ki wo latif kasak
ek rangin KHwab ho jaise
yun zamane mein ji rahe hain log
koi naqsh-e-bar-ab ho jaise
faq raha hai nafas nafas mera
zindagi ek azab ho jaise
bahr-e-nazzara ja rahe hain 'kalim'
aaj jalwon ki tab ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.