har-nafas lashkar-e-taza-tar aur main
har-nafas lashkar-e-tāza-tar aur maiñ
hai nibard-āzmā ik sharar aur maiñ
be-nishāñ sā.ebānī ke saare nishāñ
dhuup ke dasht kā hai safar aur maiñ
shahr-e-āvārgī nisf shab kā gajar
sar-phirī ḳhvāhish-e-bām-o-dar aur maiñ
sāmne thā hī vo manzar-e-dil-ḳharāsh
ro paḌā sang-e-āshufta-sar aur maiñ
duur jaate hue tā.eroñ kī qatār
mahv-e-parvāz merī nazar aur maiñ
bādaloñ meñ kahīñ chāñd chhuptā huā
chand parchhā.iyāñ rahguzar aur maiñ
sarsarātī huī ġham-zada sī havā
duur tak ik parinde ke par aur maiñ
chaak par jab mirī shakl ubharne lagī
raqs karne lagā kūza-gar aur maiñ
sard paḌtā huā sho.ala-e-āftāb
naġhma-e-āb-jū merā ghar aur maiñ
sehar-zā raushnī kī lapeTe ridā
āsmāñ chāñd taare shajar aur maiñ
tarz-e-'yāvar' falak-gīr hotī huī
hairatī saare ahl-e-hunar aur maiñ
har-nafas lashkar-e-taza-tar aur main
hai nibard-azma ek sharar aur main
be-nishan saebani ke sare nishan
dhup ke dasht ka hai safar aur main
shahr-e-awargi nisf shab ka gajar
sar-phiri KHwahish-e-baam-o-dar aur main
samne tha hi wo manzar-e-dil-KHarash
ro paDa sang-e-ashufta-sar aur main
dur jate hue taeron ki qatar
mahw-e-parwaz meri nazar aur main
baadalon mein kahin chand chhupta hua
chand parchhaiyan rahguzar aur main
sarsaraati hui gham-zada si hawa
dur tak ek parinde ke par aur main
chaak par jab meri shakl ubharne lagi
raqs karne laga kuza-gar aur main
sard paDta hua shoala-e-aftab
naghma-e-ab-ju mera ghar aur main
sehar-za raushni ki lapeTe rida
aasman chand tare shajar aur main
tarz-e-'yawar' falak-gir hoti hui
hairati sare ahl-e-hunar aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.