har nafas par ye guman hai ki KHata ho jaise
har nafas par ye gumāñ hai ki ḳhatā ho jaise
umr yuuñ guzrī ki jiine kī sazā ho jaise
maiñ ba-har-taur huuñ pāband-e-shumār-e-anfās
saaz har haal meñ majbūr-e-navā ho jaise
zindagī amr-e-mashiyyat hai magar kyā kahiye
vo nadāmat hai koī jurm kiyā ho jaise
mujh ko har hādisa-e-asr huā yuuñ mahsūs
mere hī dil ke dhaḌakne kī sadā ho jaise
is tarah naaz hai dāmān-e-tahī par mujh ko
merī mahrūmī bhī us kī hī atā ho jaise
ḳhanda-e-gul se bhī ehsās pe yuuñ choT lagī
mere hī chaak garebāñ pe hañsā ho jaise
yuuñ nibard-āzmā har nafs-o-zamīr aaj bhī hai
zindagī ma.arka-e-karb-o-balā ho jaise
arsa-e-zehn meñ yuuñ fikr hai laġhzīda ḳhirām
dasht-e-pur-ḳhār meñ ik ābla-pā ho jaise
yuuñ mirī ziist bhī bargashta hai mujh se 'at.har'
kisī be-mehr ke dāman kī havā ho jaise
har nafas par ye guman hai ki KHata ho jaise
umr yun guzri ki jine ki saza ho jaise
main ba-har-taur hun paband-e-shumar-e-anfas
saz har haal mein majbur-e-nawa ho jaise
zindagi amr-e-mashiyyat hai magar kya kahiye
wo nadamat hai koi jurm kiya ho jaise
mujh ko har hadisa-e-asr hua yun mahsus
mere hi dil ke dhaDakne ki sada ho jaise
is tarah naz hai daman-e-tahi par mujh ko
meri mahrumi bhi us ki hi ata ho jaise
KHanda-e-gul se bhi ehsas pe yun choT lagi
mere hi chaak gareban pe hansa ho jaise
yun nibard-azma har nafs-o-zamir aaj bhi hai
zindagi marka-e-karb-o-bala ho jaise
arsa-e-zehn mein yun fikr hai laghzida KHiram
dasht-e-pur-KHar mein ek aabla-pa ho jaise
yun meri zist bhi bargashta hai mujh se 'athar'
kisi be-mehr ke daman ki hawa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.