har nafas wajh-e-KHushi hai aaj-kal
har nafas vaj.h-e-ḳhushī hai āj-kal
kyā suhānī zindagī hai āj-kal
lamha-lamha kaif meñ Duubā huā
maiñ huuñ merī mai-kashī hai āj-kal
bujh ga.e kab se umīdoñ ke charāġh
dāġh-e-dil kī raushnī hai āj-kal
jis jagah rahtī thī bū-e-gul vahīñ
ḳhaak sī kuchh uḌ rahī hai āj-kal
kam nahīñ ġham se tire duniyā kā ġham
ik musībat jiite jī hai āj-kal
luuT lo mil kar bahār-e-gulsitāñ
lo shagufta har kalī hai āj-kal
har nafas wajh-e-KHushi hai aaj-kal
kya suhani zindagi hai aaj-kal
lamha-lamha kaif mein Duba hua
main hun meri mai-kashi hai aaj-kal
bujh gae kab se umidon ke charagh
dagh-e-dil ki raushni hai aaj-kal
jis jagah rahti thi bu-e-gul wahin
KHak si kuchh uD rahi hai aaj-kal
kam nahin gham se tere duniya ka gham
ek musibat jite ji hai aaj-kal
luT lo mil kar bahaar-e-gulsitan
lo shagufta har kali hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.