har nafas waqf-e-arzu kar ke
har nafas vaqf-e-ārzū kar ke
kuchh bhī paayā na justujū kar ke
sau shagūfe khilā diye dil meñ
ḳhanda-e-gul se guftugū kar ke
muskurātā hī kyuuñ na rahne do
fā.eda chāk-e-dil rafū kar ke
kitne nau-ḳhez-o-nau-damīda phuul
mar miTe ḳhvāhish-e-numū kar ke
ġhairat-e-dil ne āh-e-sozāñ ko
rakh diyā surma-e-gulū kar ke
har nafas waqf-e-arzu kar ke
kuchh bhi paya na justuju kar ke
sau shagufe khila diye dil mein
KHanda-e-gul se guftugu kar ke
muskuraata hi kyun na rahne do
faeda chaak-e-dil rafu kar ke
kitne nau-KHez-o-nau-damida phul
mar miTe KHwahish-e-numu kar ke
ghairat-e-dil ne aah-e-sozan ko
rakh diya surma-e-gulu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.