har nai ijad ki kal tak hamin buniyaad the
har na.ī ījād kī kal tak hamīñ buniyād the
log lohā bhī na the jis vaqt ham faulād the
aaj hī tai kījiye kal kyā kaheñge qaum ko
ham abhī āzād haiñ yā ham kabhī āzād the
jhar chuke patte havā se kah rahe haiñ ġham nahīñ
vo jaḌeñ zinda haiñ ab bhī jin se ham ābād the
kaun suntā ajnabī kī ajnabī bhāshā meñ baat
shor ke darbār meñ ham maun ke samvād the
har nai ijad ki kal tak hamin buniyaad the
log loha bhi na the jis waqt hum faulad the
aaj hi tai kijiye kal kya kahenge qaum ko
hum abhi aazad hain ya hum kabhi aazad the
jhar chuke patte hawa se kah rahe hain gham nahin
wo jaDen zinda hain ab bhi jin se hum aabaad the
kaun sunta ajnabi ki ajnabi bhasha mein baat
shor ke darbar mein hum maun ke samwad the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.