har naqsh hai wajud-e-fana mere samne
har naqsh hai vajūd-e-fanā mere sāmne
hairān huuñ ye rañg hai kyā mere sāmne
ik shakl sī hai merī tarah mere rū-ba-rū
ik harf sā hai mere sivā mere sāmne
gum-sum khaḌī hai merī sadā mere ās-pās
dīvār ban ga.ī hai havā mere sāmne
khultā nahīñ ki ā.īna-e-kā.enāt meñ
kyā hai misāl-e-aks-e-navā mere sāmne
jangal kā vo safar bhī mubārak huā mujhe
jab chal rahā thā merā ḳhudā mere sāmne
ik ajnabī sadā sī ta'āqub meñ thī mire
dekhā jo muḌ ke kuchh bhī na thā mere sāmne
ab sochtā huuñ bikhrā huā dasht-e-ḳhāk meñ
ye kaun mujh ko toḌ gayā mere sāmne
'qaisar' huā thā sāmnā ik shakl se mirā
phir us ke baa'd kuchh na rahā mere sāmne
har naqsh hai wajud-e-fana mere samne
hairan hun ye rang hai kya mere samne
ek shakl si hai meri tarah mere ru-ba-ru
ek harf sa hai mere siwa mere samne
gum-sum khaDi hai meri sada mere aas-pas
diwar ban gai hai hawa mere samne
khulta nahin ki aaina-e-kaenat mein
kya hai misal-e-aks-e-nawa mere samne
jangal ka wo safar bhi mubarak hua mujhe
jab chal raha tha mera KHuda mere samne
ek ajnabi sada si ta'aqub mein thi mere
dekha jo muD ke kuchh bhi na tha mere samne
ab sochta hun bikhra hua dasht-e-KHak mein
ye kaun mujh ko toD gaya mere samne
'qaisar' hua tha samna ek shakl se mera
phir us ke ba'd kuchh na raha mere samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.