har nazar aashna nahin hoti
har nazar āshnā nahīñ hotī
lutf meñ kyā jafā nahīñ hotī
vasl kī bhī du'ā nahīñ hotī
ham se ab iltijā nahīñ hotī
saarī duniyā ke kaam aate haiñ
ek tum se vafā nahīñ hotī
dil meñ ik aarzū hai barsoñ se
lafz ban kar adā nahīñ hotī
ishq to ek hī se hotā hai
saarī duniyā ḳhudā nahīñ hotī
Thokaroñ meñ tirī qayāmat thī
ab kabhī rūnumā nahīñ hotī
ye sifat hai janāb-'shankar' meñ
har nazar pārsā nahīñ hotī
har nazar aashna nahin hoti
lutf mein kya jafa nahin hoti
wasl ki bhi du'a nahin hoti
hum se ab iltija nahin hoti
sari duniya ke kaam aate hain
ek tum se wafa nahin hoti
dil mein ek aarzu hai barson se
lafz ban kar ada nahin hoti
ishq to ek hi se hota hai
sari duniya KHuda nahin hoti
Thokaron mein teri qayamat thi
ab kabhi runuma nahin hoti
ye sifat hai janab-'shankar' mein
har nazar parsa nahin hoti
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 239)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.