har pal jalae aansuon se did ke diye
har pal jalā.e āñsuoñ se diid ke diye
bujhne nahīñ diye kabhī ummīd ke diye
kābūs dekhtā vo rahā 'umr bhar sadā
jis ne churā.e dūsroñ se niiñd ke diye
uktā ke ik hī vird se tasbīh ro paḌī
phir ḳhud meñ ḳhud piro diye tajrīd ke diye
āyāt hifz kiiñ tirī phir bhī na jaane kyoñ
sūkhe paḌe haiñ sab tirī tākīd ke diye
tārīkī se jhagaḌ paḌī taqlīd kī davāt
aur raushnī se jā laḌe tajdīd ke diye
karte ho qaid kyoñ unheñ ai vaqt ke yazīd
sajte haiñ sirf daar pe tauhīd ke diye
'mansūr' fikr kyoñ kare fardā kī kuchh zarā
jab saath hoñ huzūr kī tā.īd ke diye
har pal jalae aansuon se did ke diye
bujhne nahin diye kabhi ummid ke diye
kabus dekhta wo raha 'umr bhar sada
jis ne churae dusron se nind ke diye
ukta ke ek hi wird se tasbih ro paDi
phir KHud mein KHud piro diye tajrid ke diye
aayat hifz kin teri phir bhi na jaane kyon
sukhe paDe hain sab teri takid ke diye
tariki se jhagaD paDi taqlid ki dawat
aur raushni se ja laDe tajdid ke diye
karte ho qaid kyon unhen ai waqt ke yazid
sajte hain sirf dar pe tauhid ke diye
'mansur' fikr kyon kare farda ki kuchh zara
jab sath hon huzur ki taid ke diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.