har pal main taDap kar dam-e-aKHir hua jata hun
har pal maiñ taḌap kar dam-e-āḳhir huā jaatā huuñ
āshiq thā maiñ poshīda zāhir huā jaatā huuñ
is umr-e-jahālat meñ dil ḳhāna-ka.aba thā
ab ilm-o-hunar pā kar kāfir huā jaatā huuñ
ye kaise bhalā kah duuñ baḳhshā nahīñ kuchh us ne
har saañs pe maiñ us kā shākir huā jaatā huuñ
ik baar kiyā maiñ ne bas pyaar anāḌī sā
haañ pyaar ko likh likh kar māhir huā jaatā huuñ
har pal main taDap kar dam-e-aKHir hua jata hun
aashiq tha main poshida zahir hua jata hun
is umr-e-jahaalat mein dil KHana-kaba tha
ab ilm-o-hunar pa kar kafir hua jata hun
ye kaise bhala kah dun baKHsha nahin kuchh us ne
har sans pe main us ka shakir hua jata hun
ek bar kiya main ne bas pyar anaDi sa
han pyar ko likh likh kar mahir hua jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.