har pal meri hayat ka begana ban gaya
har pal meri hayat ka begana ban gaya
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
har pal mirī hayāt kā begāna ban gayā
tum kyā ga.e ki ishq bhī afsāna ban gayā
har sū mire tasavvur-e-jānāñ nazar meñ hai
ye dil jo pahle ka.aba thā but-ḳhāna ban gayā
kis ne nigāh pher lī merī hayāt se
shādāb jo chaman thā vo vīrāna ban gayā
sapne pe itne zaḳhm lagā.e ga.e mire
har lamha zindagī kā bhī ġham-ḳhāna ban gayā
us kī ināyatoñ ko maiñ kyā naam duuñ 'sa.īd'
jo zaḳhm bhī milā mujhe nazrāna ban gayā
har pal meri hayat ka begana ban gaya
tum kya gae ki ishq bhi afsana ban gaya
har su mere tasawwur-e-jaanan nazar mein hai
ye dil jo pahle kaba tha but-KHana ban gaya
kis ne nigah pher li meri hayat se
shadab jo chaman tha wo virana ban gaya
sapne pe itne zaKHm lagae gae mere
har lamha zindagi ka bhi gham-KHana ban gaya
us ki inayaton ko main kya nam dun 'said'
jo zaKHm bhi mila mujhe nazrana ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.