har phul kisi rang ka KHushbu ka safar hai
har phul kisi rang ka KHushbu ka safar hai
Mohammad Saleemur Rahman
MORE BYMohammad Saleemur Rahman
har phuul kisī rang kā ḳhushbū kā safar hai
aur bāġh-e-jahāñ vaqt kī ik rāhguzar hai
vaadī se guzartā hai mire ḳhvāb kā dariyā
khultā sā lab-e-āb tire lutf kā dar hai
muddat se mire dil pe hai be-rang sā mausam
hai dhuup ThiThurtī huī be-sāya shajar hai
soyā huā har dard meñ ummīd kā pal hai
har raat kī dīvār pe ik naqsh-e-sahar hai
ik baar yahāñ boyā gayā zahr zamīñ meñ
bad-zā.iqa ab har na.e mausam kā samar hai
jis shahr ko kahte the kabhī shahr-e-tamannā
girtī huī dīvār se TuuTā huā dar hai
har phul kisi rang ka KHushbu ka safar hai
aur bagh-e-jahan waqt ki ek rahguzar hai
wadi se guzarta hai mere KHwab ka dariya
khulta sa lab-e-ab tere lutf ka dar hai
muddat se mere dil pe hai be-rang sa mausam
hai dhup ThiThurti hui be-saya shajar hai
soya hua har dard mein ummid ka pal hai
har raat ki diwar pe ek naqsh-e-sahar hai
ek bar yahan boya gaya zahr zamin mein
bad-zaiqa ab har nae mausam ka samar hai
jis shahr ko kahte the kabhi shahr-e-tamanna
girti hui diwar se TuTa hua dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.