har qadam champai phulon ke khilane wale
har qadam champa.ī phūloñ ke khilāne vaale
gum na ho jaa.eñ tirī raah meñ jaane vaale
phir baḌe zor se darvāza koī band huā
phir kahā dil ne abhī ā.eñge aane vaale
umr-bhar DhūñDte-phirte rahe apnī āvāz
terī āvāz meñ āvāz milāne vaale
chāñd Thahrā sā havā band sī patte chup se
so rahe jā ke kahīñ pyaar jagāne vaale
aur agar maiñ ne tujhe dekhnā chāhā hī na ho
muñh udhar pher ke ai aañkh churāne vaale
kyā koī mere sivā mil na sakā merā harīf
merī gardan meñ mire haath pahnāne vaale
vo bhī majbūr hai ai ashk' sune kis kis kī
ek sunñe ko to lākhoñ hī sunāne vaale
har qadam champai phulon ke khilane wale
gum na ho jaen teri rah mein jaane wale
phir baDe zor se darwaza koi band hua
phir kaha dil ne abhi aaenge aane wale
umr-bhar DhunDte-phirte rahe apni aawaz
teri aawaz mein aawaz milane wale
chand Thahra sa hawa band si patte chup se
so rahe ja ke kahin pyar jagane wale
aur agar main ne tujhe dekhna chaha hi na ho
munh udhar pher ke ai aankh churane wale
kya koi mere siwa mil na saka mera harif
meri gardan mein mere hath pahnane wale
wo bhi majbur hai ai ashk' sune kis kis ki
ek sunne ko to lakhon hi sunane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.