har qadam dhoka hua hai raushni-dar-raushni
har qadam dhokā huā hai raushnī-dar-raushnī
koī mujh sā dūsrā hai raushnī-dar-raushnī
dasht-e-imkāñ bas gayā hai raushnī-dar-raushnī
aadmī sar phoḌtā hai raushnī-dar-raushnī
phir use tārīkiyoñ kī god meñ le jā.iye
zindagī be-āsrā hai raushnī-dar-raushnī
ik musalsal karb kā maarā sukūñ-nā-āshnā
aadmī hairāñ khaḌā hai raushnī-dar-raushnī
ek paikar ke tajassus meñ chalā huuñ jab bhī maiñ
ek saaya chhal gayā hai raushnī-dar-raushnī
āgahī buntī rahī hai ik dhueñ kā jaal sā
ik añdherā sā rahā hai raushnī-dar-raushnī
kho gayā hai shahr kā kirdār dīvāroñ ke biich
zor par andhī havā hai raushnī-dar-raushnī
ik dhueñ se ik dhueñ tak har tajassus kā safar
silsila dar silsila hai raushnī-dar-raushnī
hāsil-e-sad.hā yaqīñ hai ek duniyā-e-gumāñ
ek lā-hāsil ḳhalā hai raushnī-dar-raushnī
chhā gayā āñkhoñ pe ye saaya sā kis kī yaad kā
mujh ko 'tanhā' kar gayā hai raushnī-dar-raushnī
har qadam dhoka hua hai raushni-dar-raushni
koi mujh sa dusra hai raushni-dar-raushni
dasht-e-imkan bas gaya hai raushni-dar-raushni
aadmi sar phoDta hai raushni-dar-raushni
phir use tarikiyon ki god mein le jaiye
zindagi be-asra hai raushni-dar-raushni
ek musalsal karb ka mara sukun-na-ashna
aadmi hairan khaDa hai raushni-dar-raushni
ek paikar ke tajassus mein chala hun jab bhi main
ek saya chhal gaya hai raushni-dar-raushni
aagahi bunti rahi hai ek dhuen ka jal sa
ek andhera sa raha hai raushni-dar-raushni
kho gaya hai shahr ka kirdar diwaron ke bich
zor par andhi hawa hai raushni-dar-raushni
ek dhuen se ek dhuen tak har tajassus ka safar
silsila dar silsila hai raushni-dar-raushni
hasil-e-sadha yaqin hai ek duniya-e-guman
ek la-hasil KHala hai raushni-dar-raushni
chha gaya aankhon pe ye saya sa kis ki yaad ka
mujh ko 'tanha' kar gaya hai raushni-dar-raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.