har qadam ek qayamat jahan bawar aae
har qadam ek qayāmat jahāñ bāvar aa.e
tere pīchhe to koī soch-samajh kar aa.e
mere showcase kī taqdīr sañvar saktī hai
kyā ye kam hai ki mire ghar tirā patthar aa.e
maiñ jinheñ mil na sakā vo to munāfiq hoñge
jin ko aanā thā mire dil meñ barābar aa.e
ho sake to bahā do ashk nadāmat vaale
ain mumkin hai ki vo shaḳhs palaT kar aa.e
ālam-e-vajd meñ aane to de ik baar mujhe
ek to kyā tirī tasvīr bhī chal kar aa.e
aglā mausam ho tabāhī kā ye mumkin hai miyāñ
ek muddat huī bastī meñ qalandar aa.e
ho gayā aaj ayaañ tere tasavvur kā tilism
dil kī dahlīz pe alfāz ke lashkar aa.e
koī 'āfāq' mohabbat kī himāyat meñ nahīñ
jaane kitne hī nishān us ke badan par aa.e
har qadam ek qayamat jahan bawar aae
tere pichhe to koi soch-samajh kar aae
mere showcase ki taqdir sanwar sakti hai
kya ye kam hai ki mere ghar tera patthar aae
main jinhen mil na saka wo to munafiq honge
jin ko aana tha mere dil mein barabar aae
ho sake to baha do ashk nadamat wale
ain mumkin hai ki wo shaKHs palaT kar aae
aalam-e-wajd mein aane to de ek bar mujhe
ek to kya teri taswir bhi chal kar aae
agla mausam ho tabahi ka ye mumkin hai miyan
ek muddat hui basti mein qalandar aae
ho gaya aaj ayan tere tasawwur ka tilism
dil ki dahliz pe alfaz ke lashkar aae
koi 'afaq' mohabbat ki himayat mein nahin
jaane kitne hi nishan us ke badan par aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.