har qadam manzil-e-be-nishan ki taraf
har qadam manzil-e-be-nishāñ kī taraf
ya.anī ik lamha-e-imtihāñ kī taraf
gul nahīñ maiñ utāro mujhe chaak se
maiñ chalā kū-e-shīsha-garāñ kī taraf
ham ko ehsās-e-ġhurbat huā kuchh sivā
jab uThā.ī nazar āsmāñ kī taraf
apnī bechārgī bebasī kī ḳhabar
ham ne bhejī to hai lā-makāñ kī taraf
yaar hastī uThā.e koī aur ab
ham chale qarya-e-jāvedāñ kī taraf
TūTnā ye sitāroñ kā 'sayyad' miyāñ
hai ishāra mirī dāstāñ kī taraf
har qadam manzil-e-be-nishan ki taraf
yani ek lamha-e-imtihan ki taraf
gul nahin main utaro mujhe chaak se
main chala ku-e-shisha-garan ki taraf
hum ko ehsas-e-ghurbat hua kuchh siwa
jab uThai nazar aasman ki taraf
apni bechaargi bebasi ki KHabar
hum ne bheji to hai la-makan ki taraf
yar hasti uThae koi aur ab
hum chale qarya-e-jawedan ki taraf
TuTna ye sitaron ka 'sayyad' miyan
hai ishaara meri dastan ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.