har qadam panw mein hain angare
har qadam paañv meñ haiñ añgāre
terī raa.e hai kyā ḳhudā baare
donoñ kis bebasī meñ milte haiñ
āhū-e-jāñ ġhazāl-e-tātāre
paañv tikTā nahīñ zamīñ pe kahīñ
sar pe kyā ghūmte haiñ sayyāre
aañkh kī raah se nikal aa.e
chāñd-rātoñ ke sard mah-pāre
ye na samjho gunahgār nahīñ
koī patthar agar uThā maare
har qadam panw mein hain angare
teri rae hai kya KHuda bare
donon kis bebasi mein milte hain
aahu-e-jaan ghazal-e-tatare
panw tikTa nahin zamin pe kahin
sar pe kya ghumte hain sayyare
aankh ki rah se nikal aae
chand-raaton ke sard mah-pare
ye na samjho gunahgar nahin
koi patthar agar uTha mare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.