har qadam par bikhar bikhar jaana
har qadam par bikhar bikhar jaanā
vo mirā shaam hī se ghar jaanā
roz jaanā tirī galī kī taraf
aur havāoñ se peshtar jaanā
aarzū ek phuul kī hai ki
vo hamārā shajar shajar jaanā
yaad aate haiñ par ḳhayāloñ ke
kitnī ūñchī uḌaan par jaanā
is qadar chāhnā use dil se
apnī sochoñ se aap Dar jaanā
Duub jaanā kabhī ik aañsū meñ
kabhī dariyā ko paar kar jaanā
DhūñDte DhūñDte ujāloñ ko
raat kī aañkh meñ utar jaanā
har qadam par bikhar bikhar jaana
wo mera sham hi se ghar jaana
roz jaana teri gali ki taraf
aur hawaon se peshtar jaana
aarzu ek phul ki hai ki
wo hamara shajar shajar jaana
yaad aate hain par KHayalon ke
kitni unchi uDan par jaana
is qadar chahna use dil se
apni sochon se aap Dar jaana
Dub jaana kabhi ek aansu mein
kabhi dariya ko par kar jaana
DhunDte DhunDte ujalon ko
raat ki aankh mein utar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.