har qadam par ek sitam-ijad hai
har qadam par ik sitam-ījād hai
har koī is shahr meñ nāshād hai
aaj bhī siine meñ uThtā dard hai
ham ko ik ik baat us kī yaad hai
niiñd aatī hī nahīñ ab raat meñ
kis liye ye zindagī barbād hai
har koī hai apnī marzī kā ḳhudā
har koī is shahr meñ āzād hai
sāzishoñ kā jaal hai phailā huā
ghaat meñ har-sū yahāñ sayyād hai
har qadam par ek sitam-ijad hai
har koi is shahr mein nashad hai
aaj bhi sine mein uThta dard hai
hum ko ek ek baat us ki yaad hai
nind aati hi nahin ab raat mein
kis liye ye zindagi barbaad hai
har koi hai apni marzi ka KHuda
har koi is shahr mein aazad hai
sazishon ka jal hai phaila hua
ghat mein har-su yahan sayyaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.