har qadam par jo itna rote ho
har qadam par jo itnā rote ho
kis tamanna kā bojh Dhote ho
har kisī se gurez kyā matlab
aaj kal kyuuñ havā meñ hote ho
is kā matlab hai dekh lī duniyā
baat karne se pahle rote ho
chāñd par jā basoge kyā tum sab
nafrateñ is qadar jo bote ho
ye ḳhudā.ī sifat bhī hai tum meñ
duur rah kar qarīb hote ho
tum aziyyat-pasand ho 'ḳhālid'
apne ashkoñ se zaḳhm dhote ho
har qadam par jo itna rote ho
kis tamanna ka bojh Dhote ho
har kisi se gurez kya matlab
aaj kal kyun hawa mein hote ho
is ka matlab hai dekh li duniya
baat karne se pahle rote ho
chand par ja basoge kya tum sab
nafraten is qadar jo bote ho
ye KHudai sifat bhi hai tum mein
dur rah kar qarib hote ho
tum aziyyat-pasand ho 'KHalid'
apne ashkon se zaKHm dhote ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.