har qadam par nai diwar uThane wale
har qadam par na.ī dīvār uThāne vaale
baḌe aa.e mujhe tahzīb sikhāne vaale
tū hī har riñd kā qibla ho zarūrī to nahīñ
shahr meñ kam nahīñ āñkhoñ se pilāne vaale
koī is ḳhvāb kī ta.abīr batā saktā hai
roz aate haiñ mujhe ḳhvāb Darāne vaale
jis ko dekho hai vahī paikar-e-ālām yahāñ
kho ga.e jaane kahāñ hañsne hañsāne vaale
vaqt ke aage sipar Daale hue kaun haiñ ye
ham to the vaqt kī buniyād hilāne vaale
saat pardoñ meñ tujhe DhūñDh hī leñge 'raḳhshāñ'
chain se rahne kahāñ deñge zamāne vaale
har qadam par nai diwar uThane wale
baDe aae mujhe tahzib sikhane wale
tu hi har rind ka qibla ho zaruri to nahin
shahr mein kam nahin aankhon se pilane wale
koi is KHwab ki tabir bata sakta hai
roz aate hain mujhe KHwab Darane wale
jis ko dekho hai wahi paikar-e-alam yahan
kho gae jaane kahan hansne hansane wale
waqt ke aage sipar Dale hue kaun hain ye
hum to the waqt ki buniyaad hilane wale
sat pardon mein tujhe DhunDh hi lenge 'raKHshan'
chain se rahne kahan denge zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.