har qadam rahguzar se khelega
har qadam rahguzar se khelegā
ab musāfir safar se khelegā
naav gar Dūbtī hai to Duube
nā-ḳhudā to bhañvar se khelegā
be-hunar le ke haath meñ tesha
bā-hunar ke hunar se khelegā
shaam hote hī dil ke āñgan meñ
ik parinda shajar se khelegā
'kaif' bachchoñ kā khel hai duniyā
kaun shams-o-qamar se khelegā
har qadam rahguzar se khelega
ab musafir safar se khelega
naw gar Dubti hai to Dube
na-KHuda to bhanwar se khelega
be-hunar le ke hath mein tesha
ba-hunar ke hunar se khelega
sham hote hi dil ke aangan mein
ek parinda shajar se khelega
'kaif' bachchon ka khel hai duniya
kaun shams-o-qamar se khelega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.