har qadam sanpon ki aahaT aur main
har qadam sāñpoñ kī aahaT aur maiñ
aage pīchhe sarsarāhaT aur maiñ
ik taraf chaḌhte hue dariyā kī saañs
ik taraf jangal kī aahaT aur maiñ
gaañv kī pagDanDiyoñ se shahr tak
chehra chehra baukhalāhaT aur maiñ
ek chehra raushnī sā zehn meñ
band kamra jagmagāhaT aur maiñ
sard māthe par pasīne kī tapish
sham' kī lau thartharāhaT aur maiñ
ik adhūre ḳhvāb kī ta.abīr dekh
ek piñjra phaḌphaḌāhaT aur maiñ
Dhalte sūraj par hukūmat shaam kī
aa.ine par malgajāhaT aur maiñ
har qadam sanpon ki aahaT aur main
aage pichhe sarsarahaT aur main
ek taraf chaDhte hue dariya ki sans
ek taraf jangal ki aahaT aur main
ganw ki pagDanDiyon se shahr tak
chehra chehra baukhalahaT aur main
ek chehra raushni sa zehn mein
band kamra jagmagahaT aur main
sard mathe par pasine ki tapish
sham' ki lau thartharahaT aur main
ek adhure KHwab ki tabir dekh
ek pinjra phaDphaDahaT aur main
Dhalte suraj par hukumat sham ki
aaine par malgajahaT aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.