har qadam teri rahguzar mein hai
har qadam terī rahguzar meñ hai
merī manzil mirī nazar meñ hai
zindagī sarhad-e-ḳhatar meñ hai
manzil-e-āḳhirī nazar meñ hai
zindagī ham-rikāb ho kab tak
aadmī maut ke safar meñ hai
ishq agar hai mirī rag-o-pai meñ
husn merī nazar nazar meñ hai
is kā iqrār khul ke ho ki na ho
dil magar hirs-e-māl-o-zar meñ hai
koī sayyāh hī batā.egā
lutf jo sair meñ safar meñ hai
shadd-o-mad se hai aaj bhī jaarī
vo tasādum jo ḳhair-o-shar meñ hai
ban gayā hai balā-e-jān-e-qaum
ek saudā jo ahl-e-shar meñ hai
husn jis shai kā naam hai yaaro
dekhne vaale kī nazar meñ hai
dard-e-sar hai vatan kā har aḳhbār
sansanī sī har ik ḳhabar meñ hai
rang hī rang haiñ nigāhoñ meñ
haa.e kyā baat ham-safar meñ hai
jazba-e-ḳhair ab kahāñ 'maġhmūm'
shar hī shar aaj ke bashar meñ hai
har qadam teri rahguzar mein hai
meri manzil meri nazar mein hai
zindagi sarhad-e-KHatar mein hai
manzil-e-aKHiri nazar mein hai
zindagi ham-rikab ho kab tak
aadmi maut ke safar mein hai
ishq agar hai meri rag-o-pai mein
husn meri nazar nazar mein hai
is ka iqrar khul ke ho ki na ho
dil magar hirs-e-mal-o-zar mein hai
koi sayyah hi bataega
lutf jo sair mein safar mein hai
shadd-o-mad se hai aaj bhi jari
wo tasadum jo KHair-o-shar mein hai
ban gaya hai bala-e-jaan-e-qaum
ek sauda jo ahl-e-shar mein hai
husn jis shai ka nam hai yaro
dekhne wale ki nazar mein hai
dard-e-sar hai watan ka har aKHbar
sansani si har ek KHabar mein hai
rang hi rang hain nigahon mein
hae kya baat ham-safar mein hai
jazba-e-KHair ab kahan 'maghmum'
shar hi shar aaj ke bashar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.