har qadam the nae sayyaad nae dam ke sath
har qadam the na.e sayyād na.e daam ke saath
duur hotī ga.ī manzil mirī har gaam ke saath
jism mahbūs hai aur hukm-e-zabāñ-bandī hai
kitne ilzām haiñ vābasta mire naam ke saath
nasha-e-talḳhī-e-daurāñ kā asar kyā kahnā
zindagī raqs meñ hai gardish-e-ayyām ke saath
itnī ḳhush-rañg ye kāfir kabhī pahle to na thī
ḳhūn-e-hasrat to nahīñ hai mai-e-gulfām ke saath
roz-o-shab kis ke tajassus meñ sabā rahtī hai
farsh-e-gul par bhī na soī kabhī ārām ke saath
bechte haiñ sabhī īmān magar farq ye hai
koī zunnār pahan kar koī ehrām ke saath
niiñd āñkhoñ meñ khaTaktī hai hamārī 'at.har'
log kāñToñ pe bhī so jaate haiñ ārām ke saath
har qadam the nae sayyaad nae dam ke sath
dur hoti gai manzil meri har gam ke sath
jism mahbus hai aur hukm-e-zaban-bandi hai
kitne ilzam hain wabasta mere nam ke sath
nasha-e-talKHi-e-dauran ka asar kya kahna
zindagi raqs mein hai gardish-e-ayyam ke sath
itni KHush-rang ye kafir kabhi pahle to na thi
KHun-e-hasrat to nahin hai mai-e-gulfam ke sath
roz-o-shab kis ke tajassus mein saba rahti hai
farsh-e-gul par bhi na soi kabhi aaram ke sath
bechte hain sabhi iman magar farq ye hai
koi zunnar pahan kar koi ehram ke sath
nind aankhon mein khaTakti hai hamari 'athar'
log kanTon pe bhi so jate hain aaram ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.