har raat intizar-e-sahar kar liya gaya
har raat intizār-e-sahar kar liyā gayā
is tarah zindagī ko basar kar liyā gayā
merī tamām umr kaTī iztirāb meñ
mujh se sukūñ kā saañs bhī mar kar liyā gayā
marne se mere ruk na sakā merā kārvāñ
dīvār-e-tīrgī meñ bhī dar kar liyā gayā
bedī agar safar meñ na saaya kahīñ milā
saa.e kī aarzū meñ safar kar liyā gayā
har raat intizar-e-sahar kar liya gaya
is tarah zindagi ko basar kar liya gaya
meri tamam umr kaTi iztirab mein
mujh se sukun ka sans bhi mar kar liya gaya
marne se mere ruk na saka mera karwan
diwar-e-tirgi mein bhi dar kar liya gaya
bedi agar safar mein na saya kahin mila
sae ki aarzu mein safar kar liya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.