har raat sitaron ka safar mere liye hai
har raat sitāroñ kā safar mere liye hai
har roz na.ī taaza sahar mere liye hai
ik shahr-e-tilismāt mujhe DhūñD rahā hai
bechain koī rāhguzar mere liye hai
jab chāhūñ taḳhayyul se kisī daur meñ jī luuñ
lamhoñ meñ ye sadiyoñ kā safar mere liye hai
kahte haiñ samundar meñ ka.ī raaz chhupe haiñ
sandes liye koī bhañvar mere liye hai
guzre hue fankāroñ kī mīrās milī hai
un sab kī riyāzat kā samar mere liye hai
shikve to bahut tujh se haiñ ai jaan magar tū
chhitnār mohabbat kā shajar mere liye hai
har raat sitaron ka safar mere liye hai
har roz nai taza sahar mere liye hai
ek shahr-e-tilismat mujhe DhunD raha hai
bechain koi rahguzar mere liye hai
jab chahun taKHayyul se kisi daur mein ji lun
lamhon mein ye sadiyon ka safar mere liye hai
kahte hain samundar mein kai raaz chhupe hain
sandes liye koi bhanwar mere liye hai
guzre hue fankaron ki miras mili hai
un sab ki riyazat ka samar mere liye hai
shikwe to bahut tujh se hain ai jaan magar tu
chhitnar mohabbat ka shajar mere liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.