Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har rag-e-Khaar ki tahwil mein KHun hai mera

Ishrat Zafar

har rag-e-Khaar ki tahwil mein KHun hai mera

Ishrat Zafar

MORE BYIshrat Zafar

    har rag-e-ḳhār tahvīl meñ ḳhuuñ hai merā

    be-karāñ dasht dabistān-e-junūñ hai merā

    naqsh-e-mauhūm hai sab vus.at-e-raz-o-aflāk

    mere shahpar ke tale said-e-zabūñ hai merā

    shāḳheñ talvār sūrat haiñ gul-o-barg haiñ sañg

    dil ye naḳhl giraftār-e-fusūñ hai merā

    zaḳhm kyā hai kisī shamshīr-e-nigah ejaaz

    ashk kyā hai samar-e-fasl-e-darūñ hai merā

    hijr chāñd dahaktā huā añgāra sahī

    magar is se bhī kahīñ shola fuzūñ hai merā

    sab mire dil pe karam us nigah-e-nāz hai

    be-qarārī hai mirī aur na sukūñ hai merā

    ġham zahrāb rag o pai meñ jo utrā 'ishrat'

    tab ye mālūm huā mujh ko vo kyuuñ hai merā

    har rag-e-KHar ki tahwil mein KHun hai mera

    be-karan dasht dabistan-e-junun hai mera

    naqsh-e-mauhum hai sab wusat-e-raz-o-aflak

    mere shahpar ke tale said-e-zabun hai mera

    shaKHen talwar ki surat hain gul-o-barg hain sang

    dil ka ye naKHl giraftar-e-fusun hai mera

    zaKHm kya hai kisi shamshir-e-nigah ka ejaz

    ashk kya hai samar-e-fasl-e-darun hai mera

    hijr ka chand dahakta hua angara sahi

    magar is se bhi kahin shola fuzun hai mera

    sab mere dil pe karam us nigah-e-naz ka hai

    be-qarari hai meri aur na sukun hai mera

    gham ka zahrab rag o pai mein jo utra 'ishrat'

    tab ye malum hua mujh ko wo kyun hai mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now