har roz hi karte hain kaghaz pe ye fan zinda
har roz hī karte haiñ kāġhaz pe ye fan zinda
ham ahl-e-suḳhan haiñ ham rakhte haiñ suḳhan zinda
jo haar ga.e himmat raste meñ paḌe haiñ vo
pahuñche vo hī manzil par thī jin meñ lagan zinda
murda nahīñ kahte haiñ shaidā-e-mohabbat ko
zinda haiñ vo zinda haiñ vo zer-e-kafan zinda
ḳhushbū kī tavaqqo hai be-kār hī bāġhoñ se
bāġhoñ meñ nahīñ milte vo sarv saman zinda
ehsās-e-masarrat ko ham marne nahīñ dete
ummīd kī rakhtī hai ham ko to kiran zinda
sayyād batā kis par ab zulm tū Dhā.egā
chhoḌe hī kahāñ tū ne murġhān-e-chaman zinda
ye kis ne kahā apnī tārīḳh se ġhāfil haiñ
zehnoñ meñ hamāre hai rūdād-e-kuhan zinda
jo jaan luTāte haiñ sarhad kī hifāzat meñ
aise hī javānoñ se rahtā hai vatan zinda
daulat kā pujārī thā daulat ke liye dekho
sho.aloñ ke havāle kī zālim ne dulhan zinda
jab sair-e-bahārāñ ko aatā hai 'qamar' koī
ik niim tabassum se hotā hai chaman zinda
har roz hi karte hain kaghaz pe ye fan zinda
hum ahl-e-suKHan hain hum rakhte hain suKHan zinda
jo haar gae himmat raste mein paDe hain wo
pahunche wo hi manzil par thi jin mein lagan zinda
murda nahin kahte hain shaida-e-mohabbat ko
zinda hain wo zinda hain wo zer-e-kafan zinda
KHushbu ki tawaqqo hai be-kar hi baghon se
baghon mein nahin milte wo sarw saman zinda
ehsas-e-masarrat ko hum marne nahin dete
ummid ki rakhti hai hum ko to kiran zinda
sayyaad bata kis par ab zulm tu Dhaega
chhoDe hi kahan tu ne murghan-e-chaman zinda
ye kis ne kaha apni tariKH se ghafil hain
zehnon mein hamare hai rudad-e-kuhan zinda
jo jaan luTate hain sarhad ki hifazat mein
aise hi jawanon se rahta hai watan zinda
daulat ka pujari tha daulat ke liye dekho
shoalon ke hawale ki zalim ne dulhan zinda
jab sair-e-bahaaran ko aata hai 'qamar' koi
ek nim tabassum se hota hai chaman zinda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.