har roz naya ek sitam ijad karo ho
har roz nayā ik sitam ījād karo ho
ābād raho ho hameñ barbād karo ho
jis shahr meñ har shaḳhs hai patthar kā tarāshā
us shahr meñ kis vāste fariyād karo ho
kyoñ ḳhuun bahāo ho miyāñ husn-e-chaman kā
kyoñ sabza-e-shādāb ko barbād karo ho
barsā nahīñ āñkhoñ se abhī karb kā sāvan
kyoñ ḳhatm abhī dard kī rūdād karo ho
vo ḳhud hī 'nazīr' aa.egā ik roz yahāñ tak
tum kis liye qātil kā pata yaad karo ho
har roz naya ek sitam ijad karo ho
aabaad raho ho hamein barbaad karo ho
jis shahr mein har shaKHs hai patthar ka tarasha
us shahr mein kis waste fariyaad karo ho
kyon KHun bahao ho miyan husn-e-chaman ka
kyon sabza-e-shadab ko barbaad karo ho
barsa nahin aankhon se abhi karb ka sawan
kyon KHatm abhi dard ki rudad karo ho
wo KHud hi 'nazir' aaega ek roz yahan tak
tum kis liye qatil ka pata yaad karo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.