har sans ek hujum-e-pareshan dhuan ka tha
har saañs ik hujūm-e-pareshāñ dhuāñ kā thā
apnā vajūd sāneha jalte makāñ kā thā
ik jurm kāñch kā hī nahīñ ḳhuuñ rulāne meñ
kuchh haath kam-nigāhī-e-shīsha-garāñ kā thā
patthar to dushmanoñ ne bhī pheñke hazār baar
jo ghaav lag sakā vo faqat dostāñ kā thā
jis daam par bhī māñgā zamāne ko de diyā
har saañs koī maal ik uThtī dukāñ kā thā
jo tiir aaj dil meñ tarāzū huā kabhī
chhūTā huā vo dosto apnī kamāñ kā thā
har sans ek hujum-e-pareshan dhuan ka tha
apna wajud saneha jalte makan ka tha
ek jurm kanch ka hi nahin KHun rulane mein
kuchh hath kam-nigahi-e-shisha-garan ka tha
patthar to dushmanon ne bhi phenke hazar bar
jo ghaw lag saka wo faqat dostan ka tha
jis dam par bhi manga zamane ko de diya
har sans koi mal ek uThti dukan ka tha
jo tir aaj dil mein taraazu hua kabhi
chhuTa hua wo dosto apni kaman ka tha
- Book : Sahil se duur (Pg. 27)
- Author : Shamshaad sahar
- Publication : Urdu Markaz, 15 chajju Bag, Patna (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.