har sans jo aati hai sitamgar qafas mein
har saañs jo aatī hai sitamgār qafas meñ
khīñche hai mirī jaan sar-e-dār qafas meñ
dekhe bhī to kyā apnī masīhā.ī kā anjām
jhāñke bhī to kyā nargis-e-bīmār qafas meñ
atrāf haiñ tāqat ke takabbur kī salāḳheñ
zālim hai ḳhud apnā hī giraftār qafas meñ
par kāTne vaale ko ye mālūm nahīñ hai
rukte haiñ kahīñ azm ke par-dār qafas meñ
ye phuul haiñ ye sabza hai ye bād-e-sabā hai
armān sañjo laa.e haiñ ghar-bār qafas meñ
āzādī bhī hāzir hai to parvāz bhī maujūd
ḳhvāboñ ne lagā rakkhā hai darbār qafas meñ
sayyād hameñ terī ḳhudā.ī bhī thī taslīm
hotā jo tasavvur bhī giraftār qafas meñ
har sans jo aati hai sitamgar qafas mein
khinche hai meri jaan sar-e-dar qafas mein
dekhe bhi to kya apni masihai ka anjam
jhanke bhi to kya nargis-e-bimar qafas mein
atraf hain taqat ke takabbur ki salaKHen
zalim hai KHud apna hi giraftar qafas mein
par kaTne wale ko ye malum nahin hai
rukte hain kahin azm ke par-dar qafas mein
ye phul hain ye sabza hai ye baad-e-saba hai
arman sanjo lae hain ghar-bar qafas mein
aazadi bhi hazir hai to parwaz bhi maujud
KHwabon ne laga rakkha hai darbar qafas mein
sayyaad hamein teri KHudai bhi thi taslim
hota jo tasawwur bhi giraftar qafas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.