har sans mahakta hua ehsas hai zinda
har saañs mahaktā huā ehsās hai zinda
dil meñ tire milne kī abhī aas hai zinda
ashkoñ ne koī jis pe ibārat nahīñ chhoḌī
mahsūs ye hotā hai vo qirtās hai zinda
ab jaam nahīñ zahr kā pyāla hai zarūrī
pyāse ko gila hai ki abhī pyaas hai zinda
dhartī meñ jaḌeñ gaaḌ ke sar apnā uThā.e
bārish ke tasavvur meñ harī ghaas hai zinda
be-jān samajh kar jise vo chhoḌ gayā thā
'ma.asūm' vo tasvīr mire paas hai zinda
har sans mahakta hua ehsas hai zinda
dil mein tere milne ki abhi aas hai zinda
ashkon ne koi jis pe ibarat nahin chhoDi
mahsus ye hota hai wo qirtas hai zinda
ab jam nahin zahr ka pyala hai zaruri
pyase ko gila hai ki abhi pyas hai zinda
dharti mein jaDen gaD ke sar apna uThae
barish ke tasawwur mein hari ghas hai zinda
be-jaan samajh kar jise wo chhoD gaya tha
'masum' wo taswir mere pas hai zinda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.